اردو हिंदी
Sangsar hone wali laDki ki aaKHiri alfaz | Shaahi Shayari
sangsar hone wali laDki ki aaKHiri alfaz

Nazm

Sangsar hone wali laDki ki aaKHiri alfaz

Aazam Khursheed

;

jis ne mujh ko
lafzon ke ek Dher pe la ke

khaDa kiya tha
jis ne mujh se pyar kiya tha

jis ne kaha tha to achchhi hai
jis ne kaha tha tu rani hai

jis ne kaha tha mar jaunga
jis ne kaha tha

jis ne jaane kya kya kaha tha
pahla patthar wo tha saheli