aab-e-KHufta mein
ek sang phenka to hai
daere
sath-e-sakit pe ubhre hain
phenkenge
miT jaenge
aur wo sang-e-jaan
apni ye dastan
zer-e-bar jumud-e-garan
ek sang-e-malamat ki manind
dohraega
wo jis ka intizar tha
wo jis ka intizar tha
shafaq ko
baadalon ko
rahguzar ko aabshaar ko
KHizan ki pattiyon ko
chandni ko
dhup ko bahaar ko
wo jis ki aarzu thi
saaton ko
KHamushi ko
zehn ko KHayal ko
tasawwur-e-muhaal ko
khanakti pyaliyon ko
kursiyon ko
jam ko ko na na-tamam ko
dopahar ko sham ko
wo jis ki aahaTen samaaton ke kunj mein nihan thin
jis ka aks
jalwa-rez tha
basaraton ki jhil mein
wo kya faqat safa ka surmagin KHiram tha
ki shaKH-e-gul ka saya-e-KHafif tha
ki mauj-e-ab par kiran ka irtiash tha
jo ek pal mein samne se yun guzar gaya
ki wo sabhi jo muntazir the
aankh malte rah gae
magar wo is tarah guzar gaya
ki yak-ba-yak wo intizar ki bisat hi ulaT gai
wo khel KHatm ho gaya
aur us ke baad
aasman se zamin
zamin se aasman tak
KHala KHala KHala KHala
Nazm
Sang-e-jaan
Zahida Zaidi