yahan pe kal tak jo ganw tha us ke sab makin ab
udas qasbon ghaliz shahron mein bas chuke hain
zamin ke sine se jhaDiyon KHushk aur be-kar zard paudon
ki fasl ugti hai har baras surKH aag ka karwan utarta hai
subh-dam dasht ke kinaron pe phail jata hai
gard-e-afaq mein shab-sard ki hadon tak
yahan magar ek tair-e-par-shikasta shayad muqim hai
dastan ye kahti hai baal-o-par ki numud hogi tulua lamha-e-baad-o-baran mein
dasht par tabassum ka sail sail-e-rahmat paDega
ye saat-e-nek jab faraaz-e-jud se KHak par utar kar qarib aaegi
tair-e-par-shikasta parwaz kar ke kho jaega zamanon ki wusaton mein
magar abhi KHak-zar mein sail-e-waqt ke darmiyan aankhen
fasurda-o-tishna-kaam aankhen taras rahi hain
ki barishen ab samundar par baras rahi hain
Nazm
Samundar par barish
Balraj Komal