samundar ki tah mein
samundar ki sangin tah mein
hai sanduq
sanduq mein ek Dibiya mein Dibiya
mein Dibiya
mein kitne maani ki subhen
wo subhen ki jin par risalat ke dar-band
apni shuaon mein jakDi hui
kitni sahmi hui!
(ye sanduq kyun kar gira?
na jaane kisi ne churaya?
hamare hi hathon se phisla?
phisal kar gira?
samundar ki tah mein magar kab?
hamesha se pahle
hamesha se bhi sal-ha-sal pahle?
aur ab tak hai sanduq ke gird
lafzon ki raaton ka pahra
wo lafzon ki raaten
jo dewon ki manind
pani ke las-dar dewon ke manind
ye lafzon ki raaten
samundar ki tah mein to basti nahin hain
magar apne la-raib pahre ki KHatir
wahin rengti hain
shab o roz
sanduq ke chaar su rengti hain
samundar ki tah mein!
bahut sochta hun
kabhi ye maani ki pakiza subhon ki pariyan
rihai ki ummid mein
apne ghawwas jadu-garon ki
sadaen sunengi?
Nazm
Samundar ki tah mein
Noon Meem Rashid