samundar ki kuchh bundon se baat ki
wo bhi apne wajud ko le kar wyakul hain
wishaal samundar mein kaha koi un ki hai sunta
jabki un se hi samundar hai
un ke bina samundar bas marusthal hai
bunden din-raat prayatn karti hain
ek bund dusre ko aage Dhakel kar
samundar ka wajud qaem rakhti hain
un ko ehsas hai apne hone ka
lekin
samundar har bar is baat ko bhul jata hai
sochon agar bunden widroh kar den
bana kar dost suraj ko
upar aakash mein baadal se mil jaen
ho sakta hai dosti dhara se kar len
us ke gart mein sama jaen
sukh jaega samundar
bundon ka wajud to hamesha bana rahega
samundar ko abhiman kis baat ka
kya pata
kya use nahin pata
kis ne kiya us ka wajud qaem
miT jaega ek din
bas bundon ko qadam widroh ka uThana hai
Nazm
Samundar ki kuchh bundon se baat ki
Kamal Upadhyay