samundar ki KHushbu
kahin dur se aa rahi hai,
samundar ki bu se hain bojhal nashili hawaen
hawaen
jo sahil ki KHasta tamanna se Takra rahi hain
hawaen purane zamane ke kuchh raaz dohra rahi hain
yahan se zara fasle par nagar hai
jahan log baste hain
apni KHamoshi mein Dubi hui zindagi ko sahaara diye
log rote hain hanste hain
apne purane gharon mein
hawaen
purane gharon ki munDeron se Takra rahi hain
purane gharon ki chhaton mein hadon mein
purane parindon ki hain aashiyane
purane gharon ke makinon ke
apne fasurda fasane,
koi apne dil ka fasana
parindon se kahta nahin hai
nashili hawaon ki diwangi koi sahta nahin hai
samundar ki shorida-KHu garm maujon pe bahta nahin hai
samundar
nagar ki bahut tang galiyon se hote hue
mere tan ke tapida jazire talak aa gaya hai
samundar meri aankh ke rauzan-e-yaad se
ruh ke dasht mein jhankta hai
samundar mere KHun ke surKH mein maujzan
nind ke zard mein nara-zan hai
samundar
mere KHwab ke sabz par KHanda-zan hai
mere jism par apni KHwahish ki bosidgi ki ridaen
mere jism par KHanda-zan hain ye taza nashili hawaen
azal ka samundar meri aankh se bah raha hai
abad ke samundar ka jadu
mere dil se kuchh kah raha hai!

Nazm
Samundar ki KHushbu
Sameena Raja