samundar ki KHushbu mere peT
mein ghul rahi hai
wo zara fasle par hi bichha hai
aur KHamoshi se aasman ko KHud ko
takte hue dekh raha hai
main ek kamre mein
surKH qalin par yoga aasan karte hue
aankhen munde
apne dil ki aawaz sun rahi hun
jo aaj sukun se hai
jaise koi bahut thak kar soya ho
waswason ke darmiyan se nikal kar
main apne dil ki is aasudgi par
KHush hun
jaise koi man apne bimar bachche ko
aaram se sote dekh kar
chain ka sans leti hai
mere peT mein samundar ki KHushbu
ek waqt ki ghiza ki tarah mujhe zinda kar rahi hai
us waqt se pahle
jab ek bar phir mera dil sote se
jage
apne waswason se khelne ke liye
Nazm
Samundar ki KHushbu
Azra Abbas