kabhi nilgun aasman ke tale
sabz sahil pe milne ka wada hua tha
samundar kisi KHwab sa KHushnuma tha
samundar ke pahlu mein
shahr-e-dil-afroz ka hamhama tha
ye shahr aaj ashkon mein Duba hua hai
yahan se wahan tak
har ek rahguzar par
ek aaseb ka samna hai
nigahon ke aage dhuan hai
samundar kahan hai
samundar ke sahil pe milne ka wada hua tha
koi aaj bhi us bulawe ki ummid mein
KHud se ruTha hua hai
koi be-qarari ke sahil pe
aankhen bichhae khaDa hai
koi ranj oDhe hue so raha hai
koi KHauf tane hue jagta hai
koi be-karan pyas mein Dubta hai
koi aas ke paniyon ko
abas jhagta hai
ajab us zamin ki faza hai
ajab aaj rang-e-falak hai
samundar ki jaanib se aati hawa mein
lahu ki mahak hai

Nazm
Samundar ki jaanib se aati hawa mein
Sameena Raja