اردو हिंदी
Samundar | Shaahi Shayari
samundar

Nazm

Samundar

Farhat Ehsas

;

lafz bahut se
jag-mag jag-mag karte tare

chand nahin banne pate hain
raat gale mein phans jati hai

jazbe kitne
baurai alhaD KHushbuen

phul nahin banne pati hain
zat gale mein phans jati hai

lekin aksar
teri yaaden

tera chehra ban kar aain
jag-mag jag-mag karte tare

baurai alhaD KHushbuen
chand jale rahte hain shab bhar

phul khile rahte hain shab bhar
raat samundar ban jati hai

zat samundar ban jati hai