samundar ke kinare
chandni raaton mein baiTha
un hasin shamon ko akasr yaad karta hun
wo shamen jab wo mere sath hoti thi
samundar ki nihayat shoKH lahron mein
ikaTThe hum bhi patthar phenkte the
aur phir hum khilkhila kar hans dete the
magar ab chandni raaton mein jab main
sair ko jata hun tanhai ka kambal oDh leta hun
samundar ke kinare jab bhi gahri soch mein Dubun
udasi KHamushi se pas aa kar baiTh jati hai
mere kandhe pe hamdardi se apna hath rakhti hai
wo kuchh kahti nahin lekin mujhe malum hai wo
is faza aur meri aankhon ki nami mahsus karti hai
nami jo muddaton ke baad bhi mujh ko bahut maghmum rakhti hai
Nazm
Samundar aur tishnagi
Khalid Suhail