samundar agar mere andar aa gire
tu payab lahron mein Dhal ke sulagne lage
pyas ke be-nishan dasht mein
whale machhli ki surat taDapne lage
horpunon se nezon se chhalni badan par
dahakti hui ret ke tez char ke sahe
aur phir ret par jhag ke kuchh nishan chhoD kar
ta-abad sar-burida se sahil ke sae mein
hone na hone ki miThi aziyyat mein khoya rahe
ye hone na hone ki miThi aziyyat bhi kya hai
nigahen uThaun to hadd-e-nazar tak
azal aur abad ke sutunon pe barik sa ek KHema tana hai
na hone ka ye rup kitna naya hai
aur KHeme ke andar
karoDon sitaron ka mela laga hai
ye hone ka bahrup la-intiha hai
mera jism
resham ka sad-chaak KHema
kisi be-karan dasht mein be-sahaara khaDa hai
magar jab main aankhen jhukaun
to us sard KHeme ke andar
karoDon taDapte hue tund zarron ka ek dasht phaila hua hai
ye hone na hone ki miThi aziyyat
ajab majra hai
Nazm
Samundar agar mere andar aa gire
Wazir Agha