khulin jo aankhen to sar pe nila falak tana tha
chahaar-jaanib siyah pani ki tund maujon ka ghalghala tha
hawaen chiKHon ko aur karahon ko le ke chalti thin aur miTTi
ki zard KHushbu mein maut-mausam ka zaiqa tha
nazar manazir mein Dub kar bhi misal-e-shisha tahi thi yani
gul-e-tamasha nahin khila tha
hiras jazbon ki rahguzar mein dil-e-tajjub-zada akela
KHamosh tanha bhaTak raha tha
ki ek sae ki narm aahaT ne raston ka nasib badla
koi talluq ke chand lahje mein apne-pan ki ada se bola
mire musafir udas mat ho ki ahd-e-furqat hi zindagi hai
ye faslon ki KHalij rah-e-visal hai aur talab nigahon ki raushni hai
tamam chizen tumhaare mere
badan ke rishton ka silsila hain
tumhein KHabar hai ki hum samundar
aur aasmanon ki intiha hain!
Nazm
Samundar aasman aur main
Amjad Islam Amjad