jidhar tum ho
usi jaanib manazir aankh malte hain
tumhaari samt hai shahr-e-nigaran, chand ki nagri
zamin ki god mein hansti hui faslon ki shadabi
machalti naddiyon ka shor nili pur-sukun jhilen
pahaDon par rupahli dhup aur peDon ki angnai
makanon ke haram aabaadiyon ke jagte manzar
tumhaari samt hai jismon ki chandi sans ke mele
dilon ki dhaDkanen aawaz ki jalti hui shamen
meri jaanib sulagti ret tapti dhup ke sahra
ghane jangal hain viranon ki na-bina rifaqat hai
zamin hai jis ke aangan mein saliben istada hain
KHamoshi hai lahu jo chaTti hai apne zaKHmon ka
meri jaanib shikasta pattharon se khelte manzar
safar lamba hai yak-rangi se hum tum ub jaenge
chalo kuchh der chashm-e-shauq ke pahlu badal Dalen
Nazm
Samton ka zawal
Zubair Rizvi