dil ke mandar mein KHushbu hai loban ki, ghanTiyan baj uThin, dew-dasi thi wo
kitne sarkash andheron mein jalti rahi dekhne mein to mashal zara si thi wo
nur o naghma ki rim-jhim phuwaron tale muskuraati hui ek udasi thi wo
paniyon ki farawaniyon mein rawan us ki hairaniyan kitni pyasi thi wo
husn-e-insan se fitrat ki sargoshiyan ghul gain tere lahje ki jhankar mein
fan ki takmil sachcha sarapa tira, be-zabani ko laya jo izhaar mein
muddaton tak numaish ki KHwahish rahi zindagi tab Dhali tere kirdar mein
jo thi zinda mohabbat ki buniyaad par waqt ne chun diya us ko diwar mein
dhup har rup mein, ret har khet mein, fasl jazbaat par KHushk-sali rahe
do ghaDi dil kisi ke KHayalon mein gum aur phir umr bhar be-KHayali rahe
aaina ab tarasta rahe aks ko aur nazar raushni ki sawali rahe
mere hisse ka ye aankh bhar aasman jagmagate sitare se KHali rahe
Nazm
Samita-paTil
Ghulam Mohammad Qasir