kalai ki ghaDi ko
aaj baDe pyar se utara
aur us ki kunji ko khinch kar
ek asafal paryas kiya
ghaDi ko rokne ka
phir bhi jab na mani ghaDi
to
chaTka kar us ka kanch
kuchh ghawon se
us ki ek sui ko toD diya
ghaDi bhi ziddi qism ki hai
rukne ka nam nahin hai leti
kitna mushkil hai
waqt ko pakaD kar rakhna
ya bandhna use kisi waqiye ke sath
kuchh bigDega kya us ka
yadi wo kuchh der Thahar jaega to
aaKHir mein ek sui ko
pakaD kar moD diya
kuchh is tarah ki
aTak jae wo waqt wahi
main un lamhon ko mahsus karta rahun
wo lamha jahan main kuchh bhi nahin
lekin gham bhi nahin
mere kuchh na hone ka
ab aTka kar samay ko
main mauj manaunga
Nazm
Samay ko aTka diya
Kamal Upadhyay