phir maqam-e-rifaqat pe mudgham huin
suiyan donon ghaDiyal ki
raft o aamad ke chakkar mein
ghanTe ki aawaz mein
mera dil kho gaya
apni Tik-Tik mein
bahta raha waqt
kitna samay ho gaya!
sal-ha-sal
pani ke chashme se
gile kiye lab anasir ne
jalte alaw pe
hath apne tape mazahir ne
sine ki dhaDkan se
na-did ke rang-o-roghan se
ashya ne
binai hasil ki
maqsum ke taqche se
jahan phul rakkhe the
lakDi ke sanduqche se
KHazana uTha le gai raat
muTThi se girte rahe
ret ki misl din!
ek din
sehn ki pil-gun dhup mein
aahani chaarpai pe leTe hue
ek jhapki si aai
to main so gaya
mere chehre pe
barish ki ek bund ne
gar ke dastak di:
baba chalo,
apne kamre ke andar
samay ho gaya
Nazm
Samay ho gaya
Rafiq Sandelvi