اردو हिंदी
Samay | Shaahi Shayari
samay

Nazm

Samay

Gulzar

;

main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
qadim raaton ki TuTi qabron ke mele katbe

dinon ki TuTi hui saliben giri paDi hain
shafaq ki ThanDi chitaon se rakh uD rahi hai

jagah jagah gurz waqt ke chur ho gae hain
jagah jagah Dher ho gai hain azim sadiyan

main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
yahin muqaddas hatheliyon se giri hain mehndi

shamon ki TuTi hui lawen zang kha gai hain
yahin pe mathon ki raushni jal ke bujh gai hain

sapaT chehron ke KHali panne khule hue hain
harf aankhon ke miT chuke hain

main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
yahin kahin zindagi ke mani gire hain aur gir ke kho gae hain!