mere samne
kai kaundhti talwaren TuTin
dekhte dekhte
kai surma shahid hue
KHirad-o-junun ki main ne
kai jangen dekhin
main ne dekha
surya-putra ko bebas hote
kai shahon ke aundhe paDe parcham dekhe
ye aur baat ki
KHamoshi meri fitrat hai
meri aankhen lekin kabhi band nahin hotin
baDe tariqe se main sab pe war karta hun
mujhe parakhne ki zarurat kya hai
ki
main to samay hun
Nazm
Samay
Afroz Alam