hamein kis hath ki mahbub rekhaon mein rahna tha
kis dil mein utarna tha
chamakna tha kin aankhon mein
kahan par phul banna tha
to kab KHushbu ki surat ku-e-jaanan se guzarna tha
samajh mein kuchh nahin aata
hamein kis qarya-e-ab-o-hawa ke sang rahna tha
kahan shamen guzarni thin
kahan mahtab raaton mein kisi ko yaad karna tha
kisi ko bhul jaana tha
kahan par subh ka aaghaz karna tha kahan suraj nikalna tha
safar ke dasht mein tanha thake-haare musafir ko
kahan KHema lagana tha
kahan dariya mein kashti Dalna thi aur kis sahil utarna tha
samajh mein kuchh nahin aata
hamein kis qarya-e-ab-o-hawa ke sang rahna tha
Nazm
Samajh mein kuchh nahin aata
Noshi Gilani