agar wo marhala aae
hawa jab sans lena bhul jae
musafir chalte chalte ruk paDe soche
mujhe ab kaun si manzil ko jaana hai
parinda aasman par
daera-dar-daera uDta
safedi ke maha-girdab ke andar utar jae
mundi aankhon mein jab
KHwabon ka ek mauj-e-sagar
ret ki shiknon mein Dhal kar
ret ho jae
agar wo marhala aae
to tum apni nazar ki sidh mein takte chale jaana
faqat takte chale jaana
usi manjhe ki pili Dor ki jaanib
jo apni ibtida aur intiha ke
darmiyan
ek aaKHiri imkan ban kar rah gai hai
Nazm
Sakta
Wazir Agha