اردو हिंदी
Sajjad-zahir ke nam | Shaahi Shayari
sajjad-zahir ke nam

Nazm

Sajjad-zahir ke nam

Faiz Ahmad Faiz

;

na ab hum sath sair-e-gul karenge
na ab mil kar sar-e-maqtal chalenge

hadis-e-dil-baran baham karenge
na KHun-e-dil se sharh-e-gham karenge

na laila-e-suKHan ki dost-dari
na gham-ha-e-watan par ashk-bari

sunenge naghma-e-zanjir mil kar
na shab bhar mil ke chhalkaenge saghar

ba-nam-e-shahid-e-nazuk-KHayalan
ba-yaad-e-masti-e-chashm-e-ghazalan

ba-nam-e-imbisat-e-bazm-e-rindan
ba-yaad-e-kulfat-e-ayyam-e-zindan

saba aur us ka andaz-e-takallum
sahar aur us ka aaghaz-e-tabassum

faza mein ek haala sa jahan hai
yahi to masnad-e-pir-e-mughan hai

sahar-gah ab usi ke nam saqi
karen itmam-e-daur jam saqi

bisat-e-baada-o-mina uTha lo
baDha do sham-e-mahfil bazm walo

piyo ab ek jam-e-al-widai
piyo aur pi ke saghar toD Dalo