اردو हिंदी
Sair-e-kashmir ka ek tassur | Shaahi Shayari
sair-e-kashmir ka ek tassur

Nazm

Sair-e-kashmir ka ek tassur

Jagan Nath Azad

;

'azad'! zara dekh tu ye aalam-e-arzang
mausam ke ye andaz bahaaron ke ye nairang

ye husn, ye tartib, ye tazin ye aahang
daman-e-KHirad chaak hai daman-e-nazar tang

har zarra hai daman mein liye tur ki duniya
har baat mein ek baat hai har rang mein sau rang

ai ruh-e-bashar! tujh se hain donon mutakallim
sabze ki KHamoshi hai ki jharnon ka hai aahang

ab chhoD bhi afsurdagi apni dil-e-nadan
ab phul bhi ho khil ke tu ai ghuncha-e-dil-tang

har shai se huwaida hai jhalak husn-e-azal ki
zarra hai ki tara hai shagufa hai ki hai sang

sab aks tere aks hain ai surat-e-pinhan
sab rang tere rang hain ai hasti-e-be-rang

ai dekhne walo! ye zara baat to dekho
patte hain shafaq-rang to patthar hain saman-rang

sab kuchh ye baja hai magar ai husn-e-gurezan
ai tu ki teri chaal pe qurban jaman o gang

is rah mein gar sath tera ho na mayassar
liddar faqat aawaz hai gul-marg faqat rang