main kyun ek kamre mein ek kursi par baiTha
apne andar chalte chalte thak jata hun
bachpan ki taswiren yaaden
ghuTne mein jo choT lagi thi
hath se miTTi chhan ke bahte KHun ko kaise rok liya tha
wo maktab, college, daftar, ghar
ubaD-khabaD raste
girte-paDte kya batlaun
kaise apne ghar aaya hun
kin bazaron se guzra hun
har chehra tha patthar ka
har dukan thi shishe ki
har diwar se Takraya hun
ab apne zaKHmon ko ginta hun
aur wo choTen kahan chhupi baiThi hain
jin ka lahu
andar hi andar bahta hai
ek kursi par baiTha
diwar-o-dar ko takte
ek kaghaz par sahra sahra likhte
main apne hi andar
chalte chalte thak jata hun!
Nazm
Sahra sahra
Mushaf Iqbal Tausifi