اردو हिंदी
Sahra mein ek sham | Shaahi Shayari
sahra mein ek sham

Nazm

Sahra mein ek sham

Iftikhar Arif

;

dasht-e-be-naKHil mein
baad-e-be-lihaz ne

aisi KHak aDai hai
kuchh bhi sujhta nahin

hauslon ka saeban
raston ke darmiyan

kis tarah ujaD gaya
kaun kab bichhaD gaya

koi puchhta nahin
fasl-e-e'tibar mein

aatish-e-ghubar se
KHema-e-dua jala

daman-e-wafa jala
kis buri tarah jala

phir bhi zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin
kuchh bhi sujhta nahin

koi puchhta nahin
aur zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin