اردو हिंदी
Sahih kah rahe ho | Shaahi Shayari
sahih kah rahe ho

Nazm

Sahih kah rahe ho

Aashufta Changezi

;

sahih kah rahe ho
shikayat baja hai tumhaari

ghane gard chehre tumhaare nahin hain
KHizan-zade shahron ka ruKH kar rahe hain

gulabi hare nile pile
sabhi rang mausam uDa le gaya hai

koi dhani chunari
hawa se nahin khelti hai

kahani sunao kisi waqt bhi
ki din raat ki qaid baqi nahin hai

suna hai
musafir koi rasta ab nahin bhulta

sahi kah rahe ho
ki ye masala bhi tumhaara nahin hai