kis dhun mein rahti ho tum
uljhe hue baalon ki girhen
tum se nahin sulajhti kya
lao inhen main suljha dun
un ke uljhe guchchhon se
ye baal tumhaare
suljhe to resham ho jaen
aur baalon ko suljhane ke bahane
jiwan ki uljhan suljhaun
ghane banon mein shankh bajaun
aur titli ban kar uD jaun
shaKHon ko main raqs dikhaun
ek kaghaz ki naw banaun
tujh ko dur baha le jaun
aur tere dukh ki warsha mein
antarman tak bhigti jaun
aa ajnabi si laDki
main teri bachpan ki si saheli ho jaun

Nazm
Saheli
Varsha Gorchhia