hawa ki surmai rath par
madhur, dhime suron mein bolti barish
mere wijdan ka pahla jazira hai
wo akasr raat ke pichhle pahar koi purana git gati hai
mere tan ki pyasi ret mein KHushbu milati hai
kabhi apni mahakti narm poron se mera shana hilati hai
meri nazmon ke misron mein tarannum chhoD jati hai
wo gunge des ki viran galiyon mein
sar-e-bazar mi-raqsam ka ilhami wazifa gungunati hai
baqa-e-yar ki KHatir fana taslim karti hai
faza mein konplen taqsim karti hai!
dilon ke aastanon par dhamalen Dalti
meri pahli saheli hai
Nazm
Saheli
Masoom Sheerazi