sahar ke ufuq se 
der tak barish-e-sang hoti rahi 
aur shishe ke sare makan Dher ho ke rahe 
dast-o-bazu kaTe 
panw majruh the 
zehn mein kirchiyan khub gain 
ab ke chehre pe aankhen nahin 
zaKHm the 
kis tarah jagte 
kis liye jagte 
der tak yunhi sote rahe 
log kya jaane kya soch kar 
mutmain ho gae 
log KHamosh the
        Nazm
Sahar ke ufuq se
Farooq muztar

