larazte sayon se mubham nuqush ubharte hain
ek an-kahi si kahani, ek an-suni si baat
tawil raat ki KHamoshiyon mein Dhalti hai
fasurda lamhe KHalaon mein rang bharte hain
sadaen zehn ki pinhaiyon mein gunjti hain
KHizan ke sae jhalakte hain teri aankhon mein
teri nigahon mein rafta bahaaron ka gham hai
hayat KHwab-gahon mein panah DhunDti hai
fasurda lamhe KHalaon mein rang bharte hain
ye gardish-e-mah-o-sal aazma chuki hai jinhen
ye gardish-e-mah-o-sal aazma rahi hai hamein
magar ye soch ki anjam-e-kar kya hoga
dawam tera muqaddar hai aur na mera nasib
dawam kis ko mila hai jo hum ko mil jata?
ye chand lamha agar jawedan na ho jate
main sochta hun ki apna nishan kya hota
kahan pe TuTta jabr-e-hayat ka afsun
kahan pahunch ke KHayalon ko aasra milta?
fasurda lamho, abhi aur be-karan ho jao
fasurda lamho, aur be-karan ho jao
Nazm
Sahar hone tak
Mahmood Ayaz