اردو हिंदी
Sahar | Shaahi Shayari
sahar

Nazm

Sahar

Ali Sahil

;

wo kisi bhi haal mein
apne honTon par surKHi lagana nahin bhulti

aur main kanghi karna
aaj phaili hui surKHi

aur bikhre hue baal
ajib hi manzar pesh kar rahe hain

aur pas-manzar mein azan ho rahi hai