اردو हिंदी
Safed KHargosh ki gend | Shaahi Shayari
safed KHargosh ki gend

Nazm

Safed KHargosh ki gend

Zeeshan Sahil

;

samundar ke kinare chalte chalte
gend aasman ki taraf ja pahunchi hai

baadalon mein kho gai hai
ya shayad kisi sitare ke

na-hamwar farsh par Thahar gai hai
gend ke na milne par KHargosh ki aankhen

surKH motiyon ki tarah nahin chamaktin
aansuon se bhari rahti hain

wo KHamosh baiTha rahta hai
samundar ke pas nahin jata

aasman ko bhi nahin dekhta
jahan gend chali gai hai

shayad kabhi andhere mein gend
wapas aae to us ke donon taraf kai

chamakdar baadal ya bahut se sitare bane hon
ya phir bana hua tez raushni ka

ek jal aur kuchh nazar na aa sake
ya phaila hua wo samundar

jahan uchhalte uchhalte gend hamesha
KHargosh ko khod deti hai aur kabhi

sitara nahin ban pati