mere makan ke samne
wo junhi aaya
yak-ba-yak
koi barq zan-zanati aankh mein utar gai
lahu mein jaise an-ginat
kabutaron ki phaDphaDahaTon ne sab
ragon ke tar jhanjhana diye
tamam khiDkiyon ke paT
khaTak se badan ne band kar liye
magar safed ghoDe par sawar ajnabi ki aankh
mere gird-o-pesh
istada jismon ki fasil
toD kar
mere sirhane aa gai
meri har ek sans jaise
KHanjaron ki nok mein piro gai
na jaane kitni mehrban suraten
na jaane kitne bhule-bisre waqiye
na jaane kitni hasraton ke qafile
shikasta kanch ki tarah
bikhar gae
main ek taraf to un ko joDne
sameTne ki rau mein mubtala-e-karb tha
aur dusri taraf
hazaron KHanjaron se apni sans ki tanab ko
sambhaalne ki had mein
zaKHm zaKHm tha
is ek lamhe mein hi sari umr ki
masafaton se bhi tawil-tar safar ada hua
magar na itna hausla hua
ki us se ham-kalam ho sakun
safed ghoDe par sawar ajnabi
dar-e-makan par khaDa tha chup magar
mujhe hisar-e-jaan ke pas bhi
khaDa dikhai de raha tha aur main
ek chiKH rokne ki justuju mein
sad-hazar chiKH mujtama kiye
aab-e-tegh-e-jism kho chuka tha
aur ek sirf ek surKH bund ka nishan tha
safed ghoDe par sawar ajnabi chala gaya
Nazm
Safed ghoDe par sawar ajnabi
Sultan Subhani