hawa hamare dalanon mein ruk si gai hai
tum se ijazat le kar
maidanon ki KHushbu phaila degi
meri kitabon aur tumhaari poshakon mein
us se puchho
kaise hain wo log jinhen pichhli barsat mein
hum ne be-ghar dekha tha
aur kaisi hai wo bachchi
jis ne hum donon ko apne miTTi ke pyale mein dudh pilaya tha
kaise hain suraj-mukhi ke nanhe-munne beTe
jin ko hum ne pyar kiya tha
aur wo sada-lauh charwahe
jin se hum ne apna rasta pucha tha
kaise hain dariya ke git
jinhen adhura chhoD aae the
kis ne hum donon ke baad unhen gaya hai
kaun hamare baad wahan se guzra
jahan nowember aa kar Thahar gaya tha
aur nowember dhup mein
jaise sayyahon ki wardi pahne
har manzar mein phail raha tha
hamein batao
tum kaisi ho
aur kaise hain zinda rahne wale zamane
Nazm
Safar se lauT aane wali hawa
Asghar Nadeem Sayed