اردو हिंदी
Safar | Shaahi Shayari
safar

Nazm

Safar

Saleem Ahmed

;

kai sar-zaminen sada de rahi hain ki aao
kai shahr mere taaqub mein hain chiKHte hain na jao

kai ghar lab-e-haal se kah rahe hain
ki jab se gae ho

hamein ek viran tanhai ne Das liya hai
palaT aao phir hum ko aabaad kar do

wo sab ghar
wo sab shahr sab sar-zaminen

mohabbat ki chhoDi hui rahguzar ban gai hain
kabhi manzilen thin magar aaj gard-e-safar ban gai hain

mohabbat safar hai
musalsal safar hai

so main tujh se teri hi jaanib safar kar raha hun