ye mana chand lamhon ki rifaqat bhi
bahut hai aaj kal lekin
mere andar ka sannaTa
kabhi dekho to jaanoge
ki main kyun
nind ki KHamosh tariki se Darta hun
kai din se to main ne KHwab bhi
Dar Dar ke dekhe hain
jo sannaTe ka aadi ho gaya ho
us ke kanon ko
KHizan mein peD se TuTe hue
patton ke girte waqt halki si
taDapne ki sada bhi achchhi lagti hai
ye mana main akela-pan to apna
banT hi lunga
magar koi adhura-pan mera banTe
to main jaanun
safar mein zindagi ke
main ne dekha hai
agar milta bhi hai koi
to chupke se kisi ek moD par
wo chhoD jata hai
abhi to KHair se
manzil buDhape ki nahin aai
abhi to aur bhi kuchh moD aaenge
buDhape mein sahaare ki
zarurat hone lagti hai
ye milne aur bichhaDne ki KHalish hi
ek sahaara hai
jise dil man leta hai
wahi hai e'tibar 'azar'
agar ye bhi nahin hoga
to phir ummid kya ho
apne jine ki
Nazm
Safar
Rashid Aazar