1
pecking
yun guman hota hai bazu hain mere sath karoD
aur aafaq ki had tak mere tan ki had hai
dil mera koh o daman dasht o chaman ki had hai
mere kise mein hai raaton ka siyah-fam jalal
mere hathon mein hai subhon ki enan-e-gulgun
meri aaghosh mein palti hai KHudai sari
mere maqdur mein hai mojiza-e-kun-fayakun
2
xinjiang
ab koi tabl bajega na koi shah-sawar
subh-dam maut ki wadi ko rawana hoga!
ab koi jang na hogi na kabhi raat gae
KHun ki aag ko ashkon se bujhana hoga
koi dil dhaDkega shab bhar na kisi aangan mein
wahm manhus parinde ki tarah aaega
sahm KHunKHar darinde ki tarah aaega
ab koi jang na hogi mai-o-saghar lao
KHun luTana na kabhi ashk bahana na hoga
saqiya! raqs koi raqs-e-saba ki surat
mutriba! koi ghazal rang-e-hina ki surat
Nazm
Safar nama
Faiz Ahmad Faiz