chali kab hawa kab miTa naqsh-e-pa
kab giri ret ki wo rida
jis mein chhupte hue tu ne mujh se kaha
aage baDh aage baDhta hi ja
muD ke takne ka ab faeda
koi chehra koi chap mazi ki koi sada kuchh nahin ab
ai gale ke tanha muhafiz tera ab muhafiz KHuda
mere honTon pe kaf
mere rasha-zada bazuon se laTakti hui gosht ki dhajjiyan
aur lakhon baras ka buDhapa
jo mujh mein sama kar humakne laga
mujh ko mazi se kaTne ka kuchh gham nahin
apne ham-zad ko ru-ba-ru pa ke main gham-zada bhi nahin
ye asa jhukte shanon pe kali aba aur gale ke chalne ki paiham sada
ab yahi meri qismat yahi aasra
Nazm
Safar ka dusra marhala
Wazir Agha