safar ho rail-gaDi ka to chhake chhuT jate hain
pasine ke ghaDe goya saron par phuT jate hain
ticket lena jo pahla kaam hai aur saKHt mushkil hai
samajh lije ki ye apne safar ki pahli manzil hai
reserwation karana hai to pahle ek quli pakDen
KHushamad se mana lije quli sahib agar akDen
booking-office ka babu aap ki aasan kar dega
wo mushkil hal karega aur apni fees le lega
reserwation kara dega aur wo das-bis le ga
kisi ki seat ho wo aap ko dilwa ke dam lega
magar pahle ye tai kar len ki wo kitni raqam lega
hamesha yaad rakkhen ye usul-e-jawedani hai
ki station maqam-e-kuch hai aur dar-e-fani hai
Nazm
Safar ho rail-gaDi ka to chhake chhuT jate hain
Zia-ul-Haq Qasmi