raat jab har chiz ko chadar uDha de
Dhanp le kale paron mein
aag lapTon si zabanen
azdahe jab apne andar band kar len
tab usi kale samay mein
tum gharon ki qabr se bahar nikalna
aur basti ke kinare
KHwab mein KHamosh bahte aadmi se
aa ke mujh ko DhunDhna
main wahin tum sab se kuchh aage milunga
aur andhera sa tumhaare aage aage main chalunga
raushni le kar chalunga to mujhe
tum se bhi pahle aur koi DhunDh lega
Nazm
Safar
Fazl Tabish