bahut qarib se aai hawa-e-daman-e-gul
kisi ke ru-e-bahaarin ne haal-e-dil puchha
ki ai firaq ki raaten guzarne walo
KHumar-e-aKHir-e-shab ka mizaj kaisa tha
tumhaare sath rahe kaun kaun se tare
siyah raat mein kis kis ne tum ko chhoD diya
bichhaD gae ki dagha de gae sharik-e-safar
ulajh gaya ki wafa ka tilism TuT gaya
nasib ho gaya kis kis ko qurb-e-sultani
mizaj kis ka yahan tak qalandarana raha
figar ho gae kanTon se pairahan kitne
zamin ko rashk-e-chaman kar gaya lahu kis ka
sunaen ya na sunaen hikayat-e-shab-e-gham
ki harf harf sahifa hai, ashk ashk qalam
kin aansuon se bataen ki haal kaisa hai
bas is qadar hai ki jaise hain sarfaraaz hain hum
satiza-kar rahe hain jahan bhi uljhe hain
shiar-e-rah-e-zanan se musafiron ke qadam
hazar dasht paDe, lakh aaftab ubhre
jabin pe gard, palak par nami nahin aai
kahan kahan na luTa karwan faqiron ka
mata-e-dard mein koi kami nahin aai
Nazm
Safar-e-aKHir-e-shab
Mustafa Zaidi