main ne ek sahil se ek sipi uThai
aur apne aansu ko us mein band kar ke
dur gahre samundar mein phenk diya
main ne apne hathon par
ek tez chhuri se
lambe safar ki lakir banai
aur aise jute KHaride
jo chalte hue pairon ko hamesha zaKHmi rakhte hain
ab ki dafa main ne ghar banaya hai
aise shishon ka
jin mein sirf andar ka aks rahta hai
aur aisi aag ka
jo zarurat paDne par KHud hi jal uThti hai
aur aisi hawa ka
jis ke liye koi darwaza kholne ki zarurat nahin
aur aisi chizon ka
jo apni apni jagah par farsh se juDi hui hain
main ne apne mausamon ko chura liya hai
aur ghas ke maidanon ko
registanon ko aasmanon ko
main ne ek titli ko ek kitab mein chhupa liya hai
aur ek KHwab ko aankhon mein
aur mohabbat ko jaanne ke liye
main ne
ek nazm paDhi hai
aur aawaz ke liye
ek git gaya hai
main ne ghup andhere mein
aankhen band kar ke
ghar ke shishon mein
KHud ko dekha hai
aur yaad kiya hai
ek aadmi ko
jo gahre samundar mein
wo sipi DhunDne utar gaya
jis mein main ne apna aansu qaid kar ke phenka tha
Nazm
Safar aur qaid mein ab ki dafa kya hua
Tanveer Anjum