اردو हिंदी
Safar aur ham-safar | Shaahi Shayari
safar aur ham-safar

Nazm

Safar aur ham-safar

Ahmad Nadeem Qasmi

;

jangal jangal aag lagi hai basti basti viran hai
kheti kheti rakh uDti hai duniya hai ki bayaban hai

sannaTe ki haibat ne sanson mein pukaren bhar di hain
zehnon mein mabhut KHayalon ne talwaren bhar di hain

qadam qadam par jhulse jhulse KHwab paDe hain rahon mein
subh ko jaise kale kale diye ibaadat-gahon mein

ek ek sang-e-mil mein kitni aankhen hain pathrai hui
ek ek naqsh-e-qadam mein kitni raftaren kafnai hui

ham-safro ai ham-safro kuchh aur bhi nazdik aa ke chalo
jab chalna hi muqaddar Thahra hath mein hath mila ke chalo