na-umidi ye batati hai ki shab ki chadar
aaKHiri chhor hai ki KHatm hua mera safar
tirgi jit gai haar gaya nur-e-nazar
dil ke kone mein tabhi jalti hai ek sham-e-yaqin
raat manzil bhi nahin mil ka patthar bhi nahin
ek KHamosh si aawaz mein kuchh gate hain
raat ke KHwab jo jugnu ki tarah aate hain
subh ke hone mein be-nur se ho jate hain
dil ke kone mein tabhi jalti hai ek sham-e-yaqin
raat manzil bhi nahin mil ka patthar bhi nahin
chahe chaurahe ki shobha hon ki mandir mein makin
but kahin bhi sajen patthar ke siwa kuchh bhi nahin
na koi laghzish-e-pa un mein guman hai na yaqin
zindagi mahw-e-safar mahw-e-safar mahw-e-safar
har nafas mil ka patthar hai sar-e-rahguzar
Nazm
Safar
Ashok Lal