safa marwa
safa-o-marwa ke darmiyan dauDti umango
tumhein KHabar hai
tumhaare ajdad ke nuqush-e-barahna-pai
tumhaare qadmon ke naqsh-gar hain
tum apne qadmon ki pairwi mein rawan-dawan ho
KHud apna irfan DhunDte ho
hujum mein chal ke apni baqa ka saman DhunDte ho
dilon ke asnam reza reza
tum apne qadmon pe chal rahe ho
dilon ke andar chhupe buton ko miTa rahe ho
dilon ke andar chhupe darindon ko sang-e-sabr-o-ghina se
karte ho pash pash
aur chal rahe ho
hisar-e-shab mein rawan ho kab se
tum apna KHud karwan ho kab se
magar shayatin tumhaare andar jo bas rahe hain
wo kab miTenge
tumhaare naqsh-e-qadam kab apni ana ke but
toD kar hujum-e-musafiran ke
rafiq honge
tum apne ajdad hi ke naqsh-e-qadam pe chalte rahoge
aur phir ye bhi jaan loge
ki ye tumhaare hi naqsh-e-pa hai
tumhaare aamal ki jaza hain
tumhaari taqdir ka sila hain
tumhaari sai ki intiha hain
Nazm
Safa marwa
Waheed Quraishi