اردو हिंदी
Safa aur sidq ke beTe | Shaahi Shayari
safa aur sidq ke beTe

Nazm

Safa aur sidq ke beTe

Zubair Rizvi

;

purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai

sawad-e-sharq ka ek shahr
tariki mein Duba tha

achanak shor sa uTTha
zamin jaise taDaKH jae

nadi mein baDh aa jae
koi koh-e-giran jaise jagah se apni haT jae

baDa kohram tha
KHilqat

mata-o-mal se mahrum nange sar
gharon se chiKH kar nikli

magar aal-e-safa-o-sidq ke KHeme nahin ukhDe
wo apni KHwab-gahon se nahin nikle

riwayat hai
safa-o-sidq ke beTe

hamesha raat aate hi
hisar-e-hamd

apne chaar jaanib khinch lete the
muqaddas aayaton ko apne pe dam kar ke sote the

riwayat hai
balaen un ke darwazon se

wapas lauT jati thin
sawad-e-sharq ka wo shahr

us shab Dher tha lekin
safa-o-sidq ki aulad ke KHeme nahin ukhDe