jaane kis ki lau ka partaw
pal pal jalti bujhti aankhen
jaane kis ki madh bhari muskan ka hila
Dawan-Dol larazti basti
ek be ant sa aalam hai
ek paiham si gardish hai
ek andha sa haala hai
aur haale mein gum-sum ruhen
aagahi ka bhaari patthar sar par uThae
adam-agahi ke mahlon ke
dar khulne ki aasha bandhe
sadiyon se line mein lagi hain
pahle kis ki mukti hogi
Nazm
Sadr darwaze pe muntazar
Parveen Tahir