basti ki bimar gali mein
shahnai jab jab gunji hai
man ne aksar mujh se kaha hai
tum bhi apna byah racha lo
main ghar ke kone mein baiTha
shor sun raha hun shahron ka
ghayal nadiyon ki lahron ka
parbat par baiTha ek jogi
apni aankhen band kiye mujh par hansta hai
aur wo mustaqbil ki aurat
kabhi sarasar zahr ugalti
kabhi anokha zahar nigalti
piT rahi hai chaT rahi hai chhati meri
dariya jangal parbat sahra
shor hai kitna andar bahar
pal pal jaise kuDe laga rahi hai KHwahish
sadiyon ke pyase neze paiwast hue phir
sukhi aur be-rang ragon mein
KHun ke ek qatre ki KHatir
sadiyon ki rahen tai karna
koi mushkil kaam nahin hai
bahr-e-kashakash ke sahil par
rahat patthar toD rahi hai
mauj-e-tamanna chaTTanon se apna matha phoD rahi hai
main ghar ke kone mein baiTha
shor sun raha hun mamta ka
han ab main soch raha hun
aisa koi ras rachaun
amman ki buDhi chhati par
ek naya sadma ban jaun
Nazm
Sadma
Chandrabhan Khayal