aasman ke ek kinare se
dusre kinare tak uD rahi hai
rang-birangi maut
patangon ki tarah bal khati hui
jis ki Dor
gali ke manchale laDkon ke hathon mein hai
bikharte chand ki
adh-jali parchhain se bane rath par sawar
jhumte hue aate hain aawara kutte
jo bhunkte hain
kabhi dhimi aur kabhi tez aawaz mein
samajhdar log
khaDe ho jate hain saDak ke donon taraf
sar jhuka kar
Nazm
SaDak ke donon taraf KHairiyat hai
Nomaan Shauque