wahime ki siskiyan chaaron taraf
aur un mein ek sada sab se alag
jaise sahra mein gulab
tirgi mein jaise ubhre mahtab
maut ki parchhaiyon mein jaise raushan zindagani ki lakir
munkiron ke darmiyan jaise masih
jaise bipta mein ghire insan ko
apne murshid ka mile aashirwad
kaurwon ke dal ka nargha aur is mein jaise krishn
bansuri ki mohne wali sada
halki halki dhimi dhimi kaif-za
ye sada hai azm-e-insan ka payam
azm-e-insan ki sada aafaqiyat
azm-e-insan ki sada la-faniyat
azm-e-insan ki sada jamhuriyat
ye sada hai ek nawa-e-dil-sitan
ye sada aflak mein parcham-fashan
ye sada mahaul mein har-dam rawan
ye sada har dil ki dhaDkan se ayan
ye sada hai ruh jo hai jawedan
jism marta hai sada marti nahin
Nazm
Sada-e-jawedan
Sahir Hoshiyarpuri