اردو हिंदी
Sach | Shaahi Shayari
sach

Nazm

Sach

Injila Hamesh

;

sach kahan hai
tariKH ke auraq mein

tariKH se baDa dhoka to kuchh nahin
tariKH to apne apne

dalalon ke ma-tahat rahi
koi jhuT kis tarah sach mein tabdil ho jata hai

is ka jawab dene ke liye sita baqi na rahi
har us moD pe baat adhuri rah gai

jo agar mukammal ho jati
to ahl-e-fasad ka karobar kaise chalta

to kya kisi chiz ko halal karne ke liye
haram ki aamezish darkar hai

kahin aisa to nahin
rasul ke nam lewa

abu-jehl ke raste par chal paDe hon
kahin aisa to nahin falsafa-e-shahadat ka dars

yazid de raha ho